Harsil mein -1°C, din mein dhoop; apple ke ped patjhad mein, season lagbhag khatam
- Weather
- Sunny · -1°C
- Snow
- No snow
- Road:
- Open
Aaj Harsil mein shaam tak temperature -1°C tak gir gaya. Din mein achhi dhoop nikli, isliye dopahar mein mausam aaram-dayak raha, lekin shaam hote hi kadaake ki thand shuru ho jaati hai.
Is samay Harsil ke lagbhag saare apple ke ped phir se sookhne lage hain, patjhad jaisa nazara hai. Bagaanon se lagbhag saare apple tod liye gaye hain, ab bahut kam pedon par apple bache hain. Jo log apple se lade ped dekhne aana chahte the, unke liye is saal ka season lagbhag khatam ho chuka hai.
Abhi paryatak bhi bahut kam hain, isliye valley shaant hai aur ghoomne ke liye bheed nahi hai. Aane wale mehmaan bhaari jacket, thermal, topi aur dastaane zaroor saath laayein — raat aur subah bahut thandi hoti hai.